Saturday, October 29, 2011
aaj ka vichar 29oct
roop-yuvan-sampana: vishalkulsambhava.vidhyaheenaa: na shobhante nirgandha iva kinshuka.muni shri ne aaj 29-oct ko dhampur me kaha-----roop-lavanya tatha yuvan se yukt tatha bade kul me janam lene par bhi vidhya se rahit manushya vaise hi sushobhit nahi hote jaise gandhrahit dhak, tesu ke phool shobhit nahi hote. dhak ke phool yadyapi laal rang ke, dekhne me sunder lagte hain, par unki oor aakarshit hokar koi unke paas nahi jata, jabki gulab ke phool ke phool ki oor har koi jata hai, kyonki uski sugandh paane ki har kisi ki iccha hoti hai. use devi-devtaon par bhi chadaya jata hai . accche kul me janam lene wale purush ka accha gun tabhi hai jab usme vidhwata ho. usne vidhya arjit na ki ho, usme vidhwata roopi sugandh na ho to uske matra ucch kul me janam lene, accche roop aur yuwan wala hone par bhi uske nikat jana koi pasand nahi karta: kyonki use vidhya rooopi sugandh nahi mil pati uski awastha to dhak ke phool ki tarah hoti hai, jo bas door se ek nazar accha lagta hai.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment