Sunday, October 30, 2011

aaj ka vichar 30 oct

kokilanaa swaro roopam streena roopam pativratamvidhya roopam kurupanam kshma roopam tapasvinam.
muni shri ne aaj 30-oct ko dhampur me kaha--- koyal bhi kauwe ki tarah kali aur usi ke aakar ki hoti hai, par apne kookne ke swar arthat madhur vani ki wajah se hi usko sab pasand karte hain. jabki kauwe ko baitha dekh kar use sab bhagana chahte hain, uska swar karkash hota hai. koyal ke se roop wala arthat kala -kaluta, kurup vyakti ho, par uske paas vidhya hai to koyal ke swar ke saman uski vidhya ki bhi har jagah kadr hogi. isi baat ko doosre roop me is prakar bhi dekha ja sakta hai ki vidhyaheen purush beshak kitna hi sundar ho uska samman yehi hota hai.stri ki shobha uske pativrat dharm me hai. stri yadi pativrat dharm ka palan karti hai to beshak kurup ho, par us stri se hazar guna acchi hai, jo par purushon ki sej sajati hai. tapasvi vyakti ko kshama sheel hona chahiye. yadi veh kshamasheel nahi to apne tapasvi dharm se hat jata hai.

No comments: