Thursday, November 10, 2011

aaj ka vichar 10 nov

dharmarthkam-mokshaana yassayekoopi n vidhyete janam janamni matryeshu tasya kewalammuni shri ne aaj 10 nov ko dhampur me kaha---jin ke paas dharm, arth, kaam aur moksh- in chaar purusharthon me se ek bhi nahi hai- manushya yoni me janam lene ke baad dharm kamakar, arthart dharm ke anusaar acharan karke apna jiwan safal karna chahiye, paapon ke bojh se chutkara pana chahiye. dharm nahi kamaya to arth atharth dhan kamana chahiye taki swam ko tatha parivar ko saansarik sukhon se sampann kar sake. jisne dhan bhi nahi kamaya use kaam vasna artharth patni sansarg ka poora anand uthana chahiye. yadi vyakti in teeno se vimukh hai to use sansar se vairag lekar lekar tap aur saadhna me jiwan lagana chahiye, taki jiwan ke awagaman se chutkara mil sake, moksh ki prapti ho sake. jo in chaaron me se kisi ek ko bhi nahi kama saka uska jiwan vyarth hai.

1 comment:

Surendra shukla" Bhramar"5 said...

Nice Informations , good thought ,,Thanks,
Bhramar5
BHRAMAR KA DARD AUR DARPAN