Tuesday, October 25, 2011
aaj ka vichar25oct
acharah: kulmakhyati deshmakhyati bhashanam sambramah: snehmakhyati vapura khyati bhojanam.muni shri ne aaj 25 oct ko dhampur me kaha-- insan ke jaise sanskar hote hain, vaisa hi veh doosron ke saath vyavhaar karta hai. acche sanskar me janam aur parvarish pane wala sada doosron se acchaa vyavhar hi karega, bure sanskar vala bure dhang se pesh aayega. manushya ke aacharan se hi uske kul ka pata chalta hai. baatcheet ka lehja is baaat ko bata deta hai ki manushya kis prant ya sthan ka hai. sthan -sthan ki bhasha, boli alag alag hoti hai. kisi ke man me aap ke liye kitna aadar prem hai, yeh baat uska vyavhar bata deta hai. manushya ka shareer swasth aur balwardhak shareer dekhkar anumaan laga liya jata hai ki veh paushtik bhojan leta hai.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment