Monday, October 24, 2011

aaj ka vichar 24 oct

kasya dosha: kule nasti vyadhina ko na pidita:vyasnam ken n praptam kasya saukhyam nirantaram>muni shri ne aaj 24 oct ko dhampur me kaha -------kul me dosh, prani rog aur kasth-- ye sab aisi kriyayen hain jinse har kisi ko samna karna padta hai. niyam se sukh hi sukh athwa dukh hi dukh kisko rehta hai? manushya ka samay to badalta rehta hai-- dukh aur sukh pahiye ki bhaanti ghoomte rehte hain, sukh -dukh ke is niyam ke saath yeh bhi tey hai ki kul me kuch na kuch dosh talash karne par avashya nikal aata hai. is sansar me har vyakti kisi na kisi rog se kabhi na kabhi pidit jaroor hua hai ya hota hai. insan ki jindagi me sankat bhi kabhi na kabhi jaroor aata hai. ata: in cheejon se ghabrana nahi chahiye.

No comments: